manzilen laakh kathin aayein guzar jaaunga | मंज़िलें लाख कठिन आएँ गुज़र जाऊँगा - Saqi Amrohvi

manzilen laakh kathin aayein guzar jaaunga
hausla haar ke baithoonga to mar jaaunga

chal rahe the jo mere saath kahaan hain vo log
jo ye kahte the ki raste mein bikhar jaaunga

dar-b-dar hone se pehle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe raas na aaya to kidhar jaaunga

yaad rakhe mujhe duniya tiri tasveer ke saath
rang aise tiri tasveer mein bhar jaaunga

laakh roken ye andhere mera rasta lekin
main jidhar raushni jaayegi udhar jaaunga

raas aayi na mohabbat mujhe warna saaqi
main ne socha tha ki har dil mein utar jaaunga

मंज़िलें लाख कठिन आएँ गुज़र जाऊँगा
हौसला हार के बैठूँगा तो मर जाऊँगा

चल रहे थे जो मेरे साथ कहाँ हैं वो लोग
जो ये कहते थे कि रस्ते में बिखर जाऊँगा

दर-ब-दर होने से पहले कभी सोचा भी न था
घर मुझे रास न आया तो किधर जाऊँगा

याद रक्खे मुझे दुनिया तिरी तस्वीर के साथ
रंग ऐसे तिरी तस्वीर में भर जाऊँगा

लाख रोकें ये अँधेरे मिरा रस्ता लेकिन
मैं जिधर रौशनी जाएगी उधर जाऊँगा

रास आई न मोहब्बत मुझे वर्ना 'साक़ी'
मैं ने सोचा था कि हर दिल में उतर जाऊँगा

- Saqi Amrohvi
2 Likes

More by Saqi Amrohvi

As you were reading Shayari by Saqi Amrohvi

Similar Writers

our suggestion based on Saqi Amrohvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari