koi kuch bhi kehta rahe sab khaamoshi se sun leta hai | कोई कुछ भी कहता रहे सब ख़ामोशी से सुन लेता है - Shariq Kaifi

koi kuch bhi kehta rahe sab khaamoshi se sun leta hai
us ne bhi ab gahri gahri saansen lena seekh liya hai

peeche hatna to chaaha tha par aise bhi nahin chaaha tha
apni taraf badhne ke liye bhi us ki taraf chalna padta hai

jab tak ho aur jaise bhi ho door raho us ki nazaron se
itna puraana hai ki ye rishta phir se naya bhi ho saka hai

jaise sab toofaan meri saanson se bandhe hon mujh mein chhupe hon
dil mein kisi dar ke aate hi zor hawa ka badh jaata hai

main to fasurda hoon hi lekin ashk raqeeb ki aankh mein bhi hain
ek mahaaz pe haare hain hum ye rishta kya kam rishta hai

rang mein hain saare ghar waale khanak rahe hain chaai ke pyaale
duniya jaag chuki hai lekin apna savera nahin hua hai

कोई कुछ भी कहता रहे सब ख़ामोशी से सुन लेता है
उस ने भी अब गहरी गहरी साँसें लेना सीख लिया है

पीछे हटना तो चाहा था पर ऐसे भी नहीं चाहा था
अपनी तरफ़ बढ़ने के लिए भी उस की तरफ़ चलना पड़ता है

जब तक हो और जैसे भी हो दूर रहो उस की नज़रों से
इतना पुराना है कि ये रिश्ता फिर से नया भी हो सकता है

जैसे सब तूफ़ान मिरी साँसों से बंधे हों मुझ में छुपे हों
दिल में किसी डर के आते ही ज़ोर हवा का बढ़ जाता है

मैं तो फ़सुर्दा हूँ ही लेकिन अश्क रक़ीब की आँख में भी हैं
एक महाज़ पे हारे हैं हम ये रिश्ता क्या कम रिश्ता है

रंग में हैं सारे घर वाले खनक रहे हैं चाय के प्याले
दुनिया जाग चुकी है लेकिन अपना सवेरा नहीं हुआ है

- Shariq Kaifi
2 Likes

Ilm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Ilm Shayari Shayari