intiha tak baat le jaata hoon main
ab use aise hi samjhaata hoon main
kuchh hawa kuchh dil dhadkane ki sada
shor mein kuchh sun nahin paata hoon main
bin kahe aaunga jab bhi aaunga
muntazir aankhon se ghabraata hoon main
yaad aati hai tiri sanjeedgi
aur phir hansta chala jaata hoon main
fasla rakh ke bhi kya haasil hua
aaj bhi us ka hi kahlaata hoon main
chhup raha hoon aaine ki aankh se
thoda thoda roz dhundlaataa hoon main
apni saari shaan kho deta hai zakham
jab dava karta nazar aata hoon main
sach to ye hai mustard kar ke use
ik tarah se khud ko jhutlaata hoon main
aaj us par bhi bhatkna pad gaya
roz jis raaste se ghar aata hoon main
इंतिहा तक बात ले जाता हूँ मैं
अब उसे ऐसे ही समझाता हूँ मैं
कुछ हवा कुछ दिल धड़कने की सदा
शोर में कुछ सुन नहीं पाता हूँ मैं
बिन कहे आऊँगा जब भी आऊँगा
मुंतज़िर आँखों से घबराता हूँ मैं
याद आती है तिरी संजीदगी
और फिर हँसता चला जाता हूँ मैं
फ़ासला रख के भी क्या हासिल हुआ
आज भी उस का ही कहलाता हूँ मैं
छुप रहा हूँ आइने की आँख से
थोड़ा थोड़ा रोज़ धुँदलाता हूँ मैं
अपनी सारी शान खो देता है ज़ख़्म
जब दवा करता नज़र आता हूँ मैं
सच तो ये है मुस्तरद कर के उसे
इक तरह से ख़ुद को झुटलाता हूँ मैं
आज उस पर भी भटकना पड़ गया
रोज़ जिस रस्ते से घर आता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari