nahin main hausla to kar raha tha
zara tere sukoon se dar raha tha
achaanak jhemp kar hansne laga main
bahut rone kii koshish kar raha tha
bhanwar mein phir hamein kuchh mashghale the
vo bechaara to saahil par raha tha
larzate kaanpate haathon se boodha
chilam mein phir koii dukh bhar raha tha
achaanak lau uthi aur jal gaya main
bujhi kirnon ko yakja kar raha tha
gila kya tha agar sab saath hote
vo bas tanhaa safar se dar raha tha
ghalat tha rokna ashkon ko yun bhi
ki buniyaadon mein paani mar raha tha
नहीं मैं हौसला तो कर रहा था
ज़रा तेरे सुकूँ से डर रहा था
अचानक झेंप कर हँसने लगा मैं
बहुत रोने की कोशिश कर रहा था
भँवर में फिर हमें कुछ मश्ग़ले थे
वो बेचारा तो साहिल पर रहा था
लरज़ते काँपते हाथों से बूढ़ा
चिलम में फिर कोई दुख भर रहा था
अचानक लौ उठी और जल गया मैं
बुझी किरनों को यकजा कर रहा था
गिला क्या था अगर सब साथ होते
वो बस तन्हा सफ़र से डर रहा था
ग़लत था रोकना अश्कों को यूँ भी
कि बुनियादों में पानी मर रहा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Mehnat Shayari Shayari