mumkin hi na thi khud se shanaasaai yahan tak | मुमकिन ही न थी ख़ुद से शनासाई यहाँ तक

  - Shariq Kaifi

mumkin hi na thi khud se shanaasaai yahan tak
le aaya mujhe mera tamaashaai yahan tak

rasta ho agar yaad to ghar laut bhi jaaun
laai thi kisi aur ki beenaai yahan tak

shaayad tah-e-dariyaa mein chhupa tha kahi sehra
meri hi nazar dekh nahin paai yahan tak

mehfil mein bhi tanhaai ne peecha nahin chhodaa
ghar mein na mila main to chali aayi yahan tak

sehra hai to sehra ki tarah pesh bhi aaye
aaya hai isee shauq mein saudaai yahan tak

ik khel tha aur khel mein socha bhi nahin tha
jud jaayega mujh se vo tamaashaai yahan tak

ye umr hai jo us ki khata-waar hai sharik
rahti hi nahin baaton mein sacchaai yahan tak

मुमकिन ही न थी ख़ुद से शनासाई यहाँ तक
ले आया मुझे मेरा तमाशाई यहाँ तक

रस्ता हो अगर याद तो घर लौट भी जाऊँ
लाई थी किसी और की बीनाई यहाँ तक

शायद तह-ए-दरिया में छुपा था कहीं सहरा
मेरी ही नज़र देख नहीं पाई यहाँ तक

महफ़िल में भी तन्हाई ने पीछा नहीं छोड़ा
घर में न मिला मैं तो चली आई यहाँ तक

सहरा है तो सहरा की तरह पेश भी आए
आया है इसी शौक़ में सौदाई यहाँ तक

इक खेल था और खेल में सोचा भी नहीं था
जुड़ जाएगा मुझ से वो तमाशाई यहाँ तक

ये उम्र है जो उस की ख़ता-वार है 'शारिक़'
रहती ही नहीं बातों में सच्चाई यहाँ तक

  - Shariq Kaifi

Aashiq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Aashiq Shayari Shayari