khamoshi bas khamoshi thi ijaazat ab hui hai | ख़मोशी बस ख़मोशी थी इजाज़त अब हुई है

  - Shariq Kaifi

khamoshi bas khamoshi thi ijaazat ab hui hai
ishaaron ko tire padhne ki jurat ab hui hai

ajab lehje mein karte the dar-o-deewar baatein
mere ghar ko bhi shaayad meri aadat ab hui hai

gumaan hoon ya haqeeqat sochne ka waqt kab tak
ye ho kar bhi na hone ki museebat ab hui hai

achaanak hadbada kar neend se main jaag utha hoon
puraana waqia hai jis pe hairat ab hui hai

yahi kamra tha jis mein chain se ham jee rahe the
ye tanhaai to itni be-muravvat ab hui hai

bichadna hai hamein ik din ye dono jaante the
faqat ham ko juda hone ki furqat ab hui hai

ajab tha mas'ala apna ajab sharmindagi thi
khafa jis raat par the vo sharaarat ab hui hai

mohabbat ko tiri kab se liye baithe the dil mein
magar is baat ko kehne ki himmat ab hui hai

ख़मोशी बस ख़मोशी थी इजाज़त अब हुई है
इशारों को तिरे पढ़ने की जुरअत अब हुई है

अजब लहजे में करते थे दर-ओ-दीवार बातें
मिरे घर को भी शायद मेरी आदत अब हुई है

गुमाँ हूँ या हक़ीक़त सोचने का वक़्त कब तक
ये हो कर भी न होने की मुसीबत अब हुई है

अचानक हड़बड़ा कर नींद से मैं जाग उट्ठा हूँ
पुराना वाक़िआ' है जिस पे हैरत अब हुई है

यही कमरा था जिस में चैन से हम जी रहे थे
ये तन्हाई तो इतनी बे-मुरव्वत अब हुई है

बिछड़ना है हमें इक दिन ये दोनों जानते थे
फ़क़त हम को जुदा होने की फ़ुर्सत अब हुई है

अजब था मसअला अपना अजब शर्मिंदगी थी
ख़फ़ा जिस रात पर थे वो शरारत अब हुई है

मोहब्बत को तिरी कब से लिए बैठे थे दिल में
मगर इस बात को कहने की हिम्मत अब हुई है

  - Shariq Kaifi

Gussa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Gussa Shayari Shayari