pehli baar vo khat likkha tha | पहली बार वो ख़त लिक्खा था

  - Shariq Kaifi

pehli baar vo khat likkha tha
jis ka jawaab bhi aa saka tha

khud afwaah udaata tha main
khud hi yaqeen bhi kar leta tha

us se kaho us roop mein aaye
jaisa pehli nazar mein laga tha

bhool chuka tha de ke sada main
tab jungle ka jawaab aaya tha

ham to paraaye the is ghar mein
ham se kaun khafa hota tha

toot gaye is koshish mein ham
apni taraf jhukna chaaha tha

uljh rahi thi aankh kahi par
koi mujhe pehchaan raha tha

toot gaya phir gham ka nasha bhi
dukh kitna sukh de saka tha

jagah jagah se toot raha hoon
kis ne mujhe choo kar dekha tha

kitne sacche dil se ham ne
apna apna jhooth kaha tha

pehli baar main us ki khaatir
apne liye kuchh soch raha tha

itne samjhaane waale the
main kuchh kaise samajh saka tha

badi badi aankhon mein us ki
koi sawaal hua karta tha

पहली बार वो ख़त लिक्खा था
जिस का जवाब भी आ सकता था

ख़ुद अफ़्वाह उड़ाता था मैं
ख़ुद ही यक़ीं भी कर लेता था

उस से कहो उस रूप में आए
जैसा पहली नज़र में लगा था

भूल चुका था दे के सदा मैं
तब जंगल का जवाब आया था

हम तो पराए थे इस घर में
हम से कौन ख़फ़ा होता था

टूट गए इस कोशिश में हम
अपनी तरफ़ झुकना चाहा था

उलझ रही थी आँख कहीं पर
कोई मुझे पहचान रहा था

टूट गया फिर ग़म का नशा भी
दुख कितना सुख दे सकता था

जगह जगह से टूट रहा हूँ
किस ने मुझे छू कर देखा था

कितने सच्चे दिल से हम ने
अपना अपना झूट कहा था

पहली बार मैं उस की ख़ातिर
अपने लिए कुछ सोच रहा था

इतने समझाने वाले थे
मैं कुछ कैसे समझ सकता था

बड़ी बड़ी आँखों में उस की
कोई सवाल हुआ करता था

  - Shariq Kaifi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari