kabhi khud ko chhukar nahin dekhta hoon | कभी ख़ुद को छूकर नहीं देखता हूँ

  - Shariq Kaifi

kabhi khud ko chhukar nahin dekhta hoon
khuda jaane bas vaham mein mubtala hoon

kahaan tak ye raftaar qaaim rahegi
kahi ab use rokna chahta hoon

vo aa kar manaa le to kya haal hoga
khafa ho ke jab itna khush ho raha hoon

faqat ye jataata hoon awaaz de kar
ki main bhi use naam se jaanta hoon

gali mein sab achha hi kahte the mujh ko
mujhe kya pata tha main itna bura hoon

nahin ye safar waapsi ka nahin hai
use dhoondhne apne ghar ja raha hoon

कभी ख़ुद को छूकर नहीं देखता हूँ
ख़ुदा जाने बस वहम में मुब्तला हूँ

कहाँ तक ये रफ़्तार क़ाएम रहेगी
कहीं अब उसे रोकना चाहता हूँ

वो आ कर मना ले तो क्या हाल होगा
ख़फ़ा हो के जब इतना ख़ुश हो रहा हूँ

फ़क़त ये जताता हूँ आवाज़ दे कर
कि मैं भी उसे नाम से जानता हूँ

गली में सब अच्छा ही कहते थे मुझ को
मुझे क्या पता था मैं इतना बुरा हूँ

नहीं ये सफ़र वापसी का नहीं है
उसे ढूँडने अपने घर जा रहा हूँ

  - Shariq Kaifi

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari