siyaane the magar itne nahin ham
khamoshi ki zabaan samjhe nahin ham
ana ki baat ab sunna padegi
vo kya sochega jo roothe nahin ham
adhuri lag rahi hai jeet us ko
use haare hue lagte nahin ham
hamein to rok lo uthne se pehle
palat kar dekhne waale nahin ham
bichhadne ka tire sadma to hoga
magar is khauf ko jeete nahin ham
tire rahte to kya hote kisi ke
tujhe kho kar bhi duniya ke nahin ham
ye manzil khwaab hi rahti hamesha
agar ghar laut kar aate nahin ham
kabhi soche to is pahluu se koi
kisi ki baat kyun sunte nahin ham
abhi tak mashwaron par jee rahe hain
kisi soorat bade hote nahin ham
सियाने थे मगर इतने नहीं हम
ख़मोशी की ज़बाँ समझे नहीं हम
अना की बात अब सुनना पड़ेगी
वो क्या सोचेगा जो रूठे नहीं हम
अधूरी लग रही है जीत उस को
उसे हारे हुए लगते नहीं हम
हमें तो रोक लो उठने से पहले
पलट कर देखने वाले नहीं हम
बिछड़ने का तिरे सदमा तो होगा
मगर इस ख़ौफ़ को जीते नहीं हम
तिरे रहते तो क्या होते किसी के
तुझे खो कर भी दुनिया के नहीं हम
ये मंज़िल ख़्वाब ही रहती हमेशा
अगर घर लौट कर आते नहीं हम
कभी सोचे तो इस पहलू से कोई
किसी की बात क्यूँ सुनते नहीं हम
अभी तक मश्वरों पर जी रहे हैं
किसी सूरत बड़े होते नहीं हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Khamoshi Shayari Shayari