humeen tak rah gaya qissa hamaara | हमीं तक रह गया क़िस्सा हमारा

  - Shariq Kaifi

humeen tak rah gaya qissa hamaara
kisi ne khat nahin khola hamaara

padhaai chal rahi hai zindagi ki
abhi utara nahin basta hamaara

muafi aur itni si khata par
saza se kaam chal jaata hamaara

kisi ko phir bhi mehnge lag rahe the
faqat saanson ka kharcha tha hamaara

yahin tak is shikaayat ko na samjho
khuda tak jaayega jhagda hamaara

taraf-dari nahin kar paaye dil ki
akela pad gaya banda hamaara

taaruf kya kara aaye kisi se
usi ke saath hai saaya hamaara

nahin the jashn-e-yaad-e-yaar mein ham
so ghar par aa gaya hissa hamaara

hamein bhi chahiye tanhaai sharik
samajhta hi nahin saaya hamaara

हमीं तक रह गया क़िस्सा हमारा
किसी ने ख़त नहीं खोला हमारा

पढ़ाई चल रही है ज़िंदगी की
अभी उतरा नहीं बस्ता हमारा

मुआ'फ़ी और इतनी सी ख़ता पर
सज़ा से काम चल जाता हमारा

किसी को फिर भी महँगे लग रहे थे
फ़क़त साँसों का ख़र्चा था हमारा

यहीं तक इस शिकायत को न समझो
ख़ुदा तक जाएगा झगड़ा हमारा

तरफ़-दारी नहीं कर पाए दिल की
अकेला पड़ गया बंदा हमारा

तआ'रुफ़ क्या करा आए किसी से
उसी के साथ है साया हमारा

नहीं थे जश्न-ए-याद-ए-यार में हम
सो घर पर आ गया हिस्सा हमारा

हमें भी चाहिए तन्हाई 'शारिक़'
समझता ही नहीं साया हमारा

  - Shariq Kaifi

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari