ye chupke chupke na thamne waali hasi to dekho | ये चुपके चुपके न थमने वाली हँसी तो देखो

  - Shariq Kaifi

ye chupke chupke na thamne waali hasi to dekho
vo saath hai to zara hamaari khushi to dekho

bahut haseen raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho

jagah jagah seel ke ye dhabbe ye sard bistar
hamaare kamre se dhoop ki be-rukhi to dekho

damak raha hoon abhi talak us ke dhyaan se main
bujhe hue ik khayal ki raushni to dekho

ye aakhiri waqt aur ye be-hisi jahaan ki
are mera sard haath choo kar koi to dekho

abhi bahut rang hain jo tum ne nahin chhue hain
kabhi yahan aa ke gaav ki zindagi to dekho

ये चुपके चुपके न थमने वाली हँसी तो देखो
वो साथ है तो ज़रा हमारी ख़ुशी तो देखो

बहुत हसीं रात है मगर तुम तो सो रहे हो
निकल के कमरे से इक नज़र चाँदनी तो देखो

जगह जगह सील के ये धब्बे ये सर्द बिस्तर
हमारे कमरे से धूप की बे-रुख़ी तो देखो

दमक रहा हूँ अभी तलक उस के ध्यान से मैं
बुझे हुए इक ख़याल की रौशनी तो देखो

ये आख़िरी वक़्त और ये बे-हिसी जहाँ की
अरे मिरा सर्द हाथ छू कर कोई तो देखो

अभी बहुत रंग हैं जो तुम ने नहीं छुए हैं
कभी यहाँ आ के गाँव की ज़िंदगी तो देखो

  - Shariq Kaifi

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari