haath aata to nahin kuch p taqaza kar aayein | हाथ आता तो नहीं कुछ प तक़ाज़ा कर आएँ - Shariq Kaifi

haath aata to nahin kuch p taqaza kar aayein
aur ik baar gali ka tiri fera kar aayein

neend ke vaaste vaise bhi zaroori hai thakan
pyaas bharkaayein kisi saaye ka peecha kar aayein

lutf deti hai masihaai par itna bhi nahin
josh mein apne hi beemaar ko achha kar aayein

log mehfil mein bulaate hue katraate the
ab nahin dhadka ye khud se ki kahaan kya kar aayein

kaash mil jaaye kahi phir wahi aaina-sifat
naqsh be-rabt bahut hain inhen chehra kar aayein

kitni aasaani se hum us ko bhula sakte hain
bas kisi tarah use doosron jaisa kar aayein

ye bhi mumkin hai ki hum haar se bachne ke liye
apne dushman ke kisi vaar mein hissa kar aayein

baat maazi ko alag rakh ke bhi ho sakti hai
ab jo haalaat hain un par kabhi charcha kar aayein

ye bata kar ki ye raunaq to zara der ki hai
saahib-e-bazm ke haijaan ko thanda kar aayein

kya vujood us ka agar koi tavajjoh hi na de
hum ki jab chahein use bheed ka hissa kar aayein

हाथ आता तो नहीं कुछ प तक़ाज़ा कर आएँ
और इक बार गली का तिरी फेरा कर आएँ

नींद के वास्ते वैसे भी ज़रूरी है थकन
प्यास भड़काएँ किसी साए का पीछा कर आएँ

लुत्फ़ देती है मसीहाई पर इतना भी नहीं
जोश में अपने ही बीमार को अच्छा कर आएँ

लोग महफ़िल में बुलाते हुए कतराते थे
अब नहीं धड़का ये ख़ुद से कि कहाँ क्या कर आएँ

काश मिल जाए कहीं फिर वही आईना-सिफ़त
नक़्श बे-रब्त बहुत हैं इन्हें चेहरा कर आएँ

कितनी आसानी से हम उस को भुला सकते हैं
बस किसी तरह उसे दूसरों जैसा कर आएँ

ये भी मुमकिन है कि हम हार से बचने के लिए
अपने दुश्मन के किसी वार में हिस्सा कर आएँ

बात माज़ी को अलग रख के भी हो सकती है
अब जो हालात हैं उन पर कभी चर्चा कर आएँ

ये बता कर कि ये रौनक़ तो ज़रा देर की है
साहिब-ए-बज़्म के हैजान को ठंडा कर आएँ

क्या वजूद उस का अगर कोई तवज्जोह ही न दे
हम कि जब चाहें उसे भीड़ का हिस्सा कर आएँ

- Shariq Kaifi
1 Like

Haar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Haar Shayari Shayari