yun bhi sehra se ham ko raghbat hai | यूँ भी सहरा से हम को रग़बत है

  - Shariq Kaifi

yun bhi sehra se ham ko raghbat hai
bas yahi be-gharon ki izzat hai

ab sanwarne ka waqt us ko nahin
jab hamein dekhne ki furqat hai

tujh se meri baraabari hi kya
tujh ko inkaar ki suhoolat hai

qahqaha maariye mein kuchh bhi nahin
muskuraane mein jitni mehnat hai

sair-e-duniya ko aa to jaao magar
waapsi mein badi museebat hai

ye jo ik shakl mil gai hai mujhe
ye bhi aaine ki badaulat hai

ye tire shehar mein khula mujh par
muskurana bhi ek aadat hai

यूँ भी सहरा से हम को रग़बत है
बस यही बे-घरों की इज़्ज़त है

अब सँवरने का वक़्त उस को नहीं
जब हमें देखने की फ़ुर्सत है

तुझ से मेरी बराबरी ही क्या
तुझ को इंकार की सुहूलत है

क़हक़हा मारिए में कुछ भी नहीं
मुस्कुराने में जितनी मेहनत है

सैर-ए-दुनिया को आ तो जाओ मगर
वापसी में बड़ी मुसीबत है

ये जो इक शक्ल मिल गई है मुझे
ये भी आईने की बदौलत है

ये तिरे शहर में खुला मुझ पर
मुस्कुराना भी एक आदत है

  - Shariq Kaifi

Aadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Aadat Shayari Shayari