kam se kam duniya se itna mera rishta ho jaaye
koi mera bhi bura chaahne waala ho jaaye
isee majboori mein ye bheed ikattha hai yahan
jo tire saath nahin aaye vo tanhaa ho jaaye
shukr us ka ada karne ka khayal aaye kise
abr jab itna ghana ho ki andhera ho jaaye
haan nahin chahiye us darja mohabbat teri
ki mera sach bhi tire jhooth ka hissa ho jaaye
band aankhon ne saraabo se bachaaya hai mujhe
aankh waala ho to is khel mein andha ho jaaye
main bhi qatra hoon tiri baat samajh saka hoon
ye ki mit jaane ke dar se koi dariya ho jaaye
bas isee baat pe aainon se bigdi meri
chahta tha mera apna koi chehra ho jaaye
bazm-e-yaaraan mein yahi rang to dete hain maza
koi roye to hasi se koi dohraa ho jaaye
कम से कम दुनिया से इतना मिरा रिश्ता हो जाए
कोई मेरा भी बुरा चाहने वाला हो जाए
इसी मजबूरी में ये भीड़ इकट्ठा है यहाँ
जो तिरे साथ नहीं आए वो तन्हा हो जाए
शुक्र उस का अदा करने का ख़याल आए किसे
अब्र जब इतना घना हो कि अँधेरा हो जाए
हाँ नहीं चाहिए उस दर्जा मोहब्बत तेरी
कि मिरा सच भी तिरे झूट का हिस्सा हो जाए
बंद आँखों ने सराबों से बचाया है मुझे
आँख वाला हो तो इस खेल में अंधा हो जाए
मैं भी क़तरा हूँ तिरी बात समझ सकता हूँ
ये कि मिट जाने के डर से कोई दरिया हो जाए
बस इसी बात पे आईनों से बिगड़ी मेरी
चाहता था मिरा अपना कोई चेहरा हो जाए
बज़्म-ए-याराँ में यही रंग तो देते हैं मज़ा
कोई रोए तो हँसी से कोई दोहरा हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari