be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe | बे-तकल्लुफ़ मिरा हैजान बनाता है मुझे

  - Shariq Kaifi

be-takalluf mera haijaan banata hai mujhe
saamne tere kahaan bolna aata hai mujhe

vo udaasi ki bikharna se nahin bach saka
aur tira lams ki chunta chala jaata hai mujhe

ab mere laut ke aane ka koi waqt nahin
yun bhi ab ghar se siva kaun bulaata hai mujhe

geet hi sirf labon par ho to aa jaaye bhi neend
vo koi aur kahaani bhi sunaata hai mujhe

qat'a kar ke bhi ta'alluq vo kahaan chain se hai
is ke asbaab-o-dalaail bhi ginata hai mujhe

khud se vo kaun se shikwe hain ki jaate hi nahin
apne jaison pe yaqeen kyun nahin aata hai mujhe

aur ik baar zara chhed meri rooh ke taar
in suron mein to koi aur bhi gaata hai mujhe

ik tira dard hai achhe hain maraasim jis se
bas wahi hai ki jo palkon pe bithaata hai mujhe

main kisi doosre pahluu se use kyun sochun
yun bhi achha hai vo jaisa nazar aata hai mujhe

ho sabab kuchh bhi mere aankh bachaane ka magar
saaf kar doon ki nazar kam nahin aata hai mujhe

na-khudaon ne to khush-fahmiyaan bakshi hain faqat
main hoon khatre mein ye toofaan hi bataata hai mujhe

बे-तकल्लुफ़ मिरा हैजान बनाता है मुझे
सामने तेरे कहाँ बोलना आता है मुझे

वो उदासी कि बिखरने से नहीं बच सकता
और तिरा लम्स कि चुनता चला जाता है मुझे

अब मिरे लौट के आने का कोई वक़्त नहीं
यूँ भी अब घर से सिवा कौन बुलाता है मुझे

गीत ही सिर्फ़ लबों पर हो तो आ जाए भी नींद
वो कोई और कहानी भी सुनाता है मुझे

क़त्अ कर के भी तअ'ल्लुक़ वो कहाँ चैन से है
इस के अस्बाब-ओ-दलाएल भी गिनाता है मुझे

ख़ुद से वो कौन से शिकवे हैं कि जाते ही नहीं
अपने जैसों पे यक़ीं क्यूँ नहीं आता है मुझे

और इक बार ज़रा छेड़ मिरी रूह के तार
इन सुरों में तो कोई और भी गाता है मुझे

इक तिरा दर्द है अच्छे हैं मरासिम जिस से
बस वही है कि जो पलकों पे बिठाता है मुझे

मैं किसी दूसरे पहलू से उसे क्यूँ सोचूँ
यूँ भी अच्छा है वो जैसा नज़र आता है मुझे

हो सबब कुछ भी मिरे आँख बचाने का मगर
साफ़ कर दूँ कि नज़र कम नहीं आता है मुझे

ना-ख़ुदाओं ने तो ख़ुश-फ़हमियाँ बख़्शी हैं फ़क़त
मैं हूँ ख़तरे में ये तूफ़ाँ ही बताता है मुझे

  - Shariq Kaifi

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari