jo kehta hai ki dariya dekh aaya
galat mausam mein sehra dekh aaya
dagar aur manzilen to ek si theen
vo phir mujh se juda kya dekh aaya
har ik manzar ke pas-e-manzar the itne
bahut kuchh be-iraada dekh aaya
kisi ko khaak de kar aa raha hoon
zameen ka asal chehra dekh aaya
ruka mehfil mein itni der tak main
ujaalon ka budhaapa dekh aaya
tasalli ab hui kuchh dil ko mere
tiri galiyon ko soona dekh aaya
tamaashaai mein jaan atki hui thi
palat kar phir kinaara dekh aaya
bahut gadla tha paani is nadi ka
magar main apna chehra dekh aaya
main is hairat mein shaamil hoon to kaise
na jaane vo kahaan kya dekh aaya
vo manzar daaimi itna haseen tha
ki main hi kuchh ziyaada dekh aaya
जो कहता है कि दरिया देख आया
ग़लत मौसम में सहरा देख आया
डगर और मंज़िलें तो एक सी थीं
वो फिर मुझ से जुदा क्या देख आया
हर इक मंज़र के पस-ए-मंज़र थे इतने
बहुत कुछ बे-इरादा देख आया
किसी को ख़ाक दे कर आ रहा हूँ
ज़मीं का असल चेहरा देख आया
रुका महफ़िल में इतनी देर तक मैं
उजालों का बुढ़ापा देख आया
तसल्ली अब हुई कुछ दिल को मेरे
तिरी गलियों को सूना देख आया
तमाशाई में जाँ अटकी हुई थी
पलट कर फिर किनारा देख आया
बहुत गदला था पानी इस नदी का
मगर मैं अपना चेहरा देख आया
मैं इस हैरत में शामिल हूँ तो कैसे
न जाने वो कहाँ क्या देख आया
वो मंज़र दाइमी इतना हसीं था
कि मैं ही कुछ ज़ियादा देख आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Dariya Shayari Shayari