achha to tum aise the | अच्छा तो तुम ऐसे थे

  - Shariq Kaifi

achha to tum aise the
door se kaise lagte the

haath tumhaare shaal mein bhi
kitne thande rahte the

saamne sab ke us se ham
khinche khinche se rahte the

aankh kahi par hoti thi
baat kisi se karte the

qurbat ke un lamhon mein
ham kuchh aur hi hote the

saath mein rah kar bhi us se
chalte waqt hi milte the

itne bade ho ke bhi ham
bacchon jaisa rote the

jald hi us ko bhool gaye
aur bhi dhoke khaane the

अच्छा तो तुम ऐसे थे
दूर से कैसे लगते थे

हाथ तुम्हारे शाल में भी
कितने ठंडे रहते थे

सामने सब के उस से हम
खिंचे खिंचे से रहते थे

आँख कहीं पर होती थी
बात किसी से करते थे

क़ुर्बत के उन लम्हों में
हम कुछ और ही होते थे

साथ में रह कर भी उस से
चलते वक़्त ही मिलते थे

इतने बड़े हो के भी हम
बच्चों जैसा रोते थे

जल्द ही उस को भूल गए
और भी धोके खाने थे

  - Shariq Kaifi

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari