kaun kahe ma'soom hamaara bachpan tha | कौन कहे मा'सूम हमारा बचपन था - Shariq Kaifi

kaun kahe ma'soom hamaara bachpan tha
khel mein bhi to aadha aadha aangan tha

kaanch ki choodi le kar main jab tak lautaa
us ke haathon mein sone ka kangan tha

jo bhi mila sab baant liya tha aapas mein
ek the hum aur ek hi apna bartan tha

aks nahin tha rangon ki bouchaarein theen
roop se us ke sehama hua har darpan tha

ro-dho kar so jaata lekin dard tira
ik ik boond nichodne waala saawan tha

tujh se bichhad kar aur tiri yaad aayegi
shaayad aisa sochna mera bachpan tha

कौन कहे मा'सूम हमारा बचपन था
खेल में भी तो आधा आधा आँगन था

काँच की चूड़ी ले कर मैं जब तक लौटा
उस के हाथों में सोने का कंगन था

जो भी मिला सब बाँट लिया था आपस में
एक थे हम और एक ही अपना बर्तन था

अक्स नहीं था रंगों की बौछारें थीं
रूप से उस के सहमा हुआ हर दर्पन था

रो-धो कर सो जाता लेकिन दर्द तिरा
इक इक बूँद निचोड़ने वाला सावन था

तुझ से बिछड़ कर और तिरी याद आएगी
शायद ऐसा सोचना मेरा बचपन था

- Shariq Kaifi
3 Likes

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari