hone se mere farq hi padta tha bhala kya | होने से मिरे फ़र्क़ ही पड़ता था भला क्या - Shariq Kaifi

hone se mere farq hi padta tha bhala kya
main aaj na jaaga to savera na hua kya

sab bheegi rutein neend ke us paar hain shaayad
lagti hai zara aankh to aati hai hawa kya

hum khoj mein jis ki hain pareshaan azal se
beemaar ki aankhon ne vo dar dhundh liya kya

maqtool ko baanhon mein liye baitha rahoon kyun
is jurm se lena hai use aur maza kiya

deewaar qafas ki ho ki ghar ki mujhe kya farq
tafreeh ke saamaan hon mayassar to saza kya

aisa to kabhi raqs mein be-khud na hawa main
may-khaane ke maahol mein hota hai nasha kya

ye dhoop ki tezi ye saraabo ki sajaavat
sehra ne junoon ko mere pehchaan liya kya

होने से मिरे फ़र्क़ ही पड़ता था भला क्या
मैं आज न जागा तो सवेरा न हुआ क्या

सब भीगी रुतें नींद के उस पार हैं शायद
लगती है ज़रा आँख तो आती है हवा क्या

हम खोज में जिस की हैं परेशान अज़ल से
बीमार की आँखों ने वो दर ढूँड लिया क्या

मक़्तूल को बाँहों में लिए बैठा रहूँ क्यूँ
इस जुर्म से लेना है उसे और मज़ा किया

दीवार क़फ़स की हो कि घर की मुझे क्या फ़र्क़
तफ़रीह के सामाँ हों मयस्सर तो सज़ा क्या

ऐसा तो कभी रक़्स में बे-ख़ुद न हवा मैं
मय-ख़ाने के माहौल में होता है नशा क्या

ये धूप की तेज़ी ये सराबों की सजावट
सहरा ने जुनूँ को मिरे पहचान लिया क्या

- Shariq Kaifi
2 Likes

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari