tan se jab tak saans ka rishta rahega
mere ashkon mein tira hissa rahega
door tak koi shanaasa ho nahin ho
bheed mein achha magar lagta rahega
aise chhutkaara nahin dena hai us ko
main agar mar jaaun to kaisa rahega
tay to hai alagaav bas ye sochna hai
kaun si rut mein ye dukh achha rahega
khud se meri sulh mumkin hi nahin hai
jab talak is ghar mein aaina rahega
yun to ab bistar hai aur beemaar lekin
saans lene mein maza aata rahega
main ne kitne din kisi ko yaad rakha
vo bhi kyun mere liye rota rahega
तन से जब तक साँस का रिश्ता रहेगा
मेरे अश्कों में तिरा हिस्सा रहेगा
दूर तक कोई शनासा हो नहीं हो
भीड़ में अच्छा मगर लगता रहेगा
ऐसे छुटकारा नहीं देना है उस को
मैं अगर मर जाऊँ तो कैसा रहेगा
तय तो है अलगाव बस ये सोचना है
कौन सी रुत में ये दुख अच्छा रहेगा
ख़ुद से मेरी सुल्ह मुमकिन ही नहीं है
जब तलक इस घर में आईना रहेगा
यूँ तो अब बिस्तर है और बीमार लेकिन
साँस लेने में मज़ा आता रहेगा
मैं ने कितने दिन किसी को याद रक्खा
वो भी क्यूँ मेरे लिए रोता रहेगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Bahan Shayari Shayari