sach to baith ke khaata hai
jhooth kama kar laata hai
yaad bhi koi aata hai
yaad to rakkh jaata hai
jaise lafz hon waisa hi
munh ka maza ho jaata hai
phir dushman badh jaayenge
kis ko dost banata hai
kaisi khushk hawaayein hain
subh se din chadh jaata hai
use ghatta kar duniya mein
baaki kya rah jaata hai
jaane vo is chehre par
kis ka dhoka khaata hai
ishq se badh kar kaun hamein
duniyadaar banata hai
dil jaisa maasoom bhi aaj
apni aql chalaata hai
kuchh to hai jo sirf yahaan
meri samajh mein aata hai
mushkil sun li jaati hai
koi karam farmaata hai
सच तो बैठ के खाता है
झूठ कमा कर लाता है
याद भी कोई आता है
याद तो रक्ख जाता है
जैसे लफ़्ज़ हों वैसा ही
मुंह का मज़ा हो जाता है
फिर दुश्मन बढ़ जाएंगे
किस को दोस्त बनाता है
कैसी ख़ुश्क हवाएं हैं
सुब्ह से दिन चढ़ जाता है
उसे घटा कर दुनिया में
बाक़ी क्या रह जाता है
जाने वो इस चेहरे पर
किस का धोका खाता है
इश्क़ से बढ़ कर कौन हमें
दुनियादार बनाता है
दिल जैसा मासूम भी आज
अपनी अक़्ल चलाता है
कुछ तो है जो सिर्फ़ यहां
मेरी समझ में आता है
मुश्किल सुन ली जाती है
कोई करम फ़रमाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Sach Shayari Shayari