log sah lete the hans kar kabhi be-zaari bhi | लोग सह लेते थे हँस कर कभी बे-ज़ारी भी

  - Shariq Kaifi

log sah lete the hans kar kabhi be-zaari bhi
ab to mashkook hui apni milan-saari bhi

vaar kuchh khaali gaye mere to phir aa hi gai
apne dushman ko dua dene ki ahl-e-mohabbat bhi

umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe
waqt kam ho to saja deti hai beemaari bhi

kis tarah aaye hain is pehli mulaqaat talak
aur mukammal hai juda hone ki tayyaari bhi

oob jaata hoon zehaanat ki numaish se to phir
lutf deta hai ye lahja mujhe baazaari bhi

umr badhti hai magar ham wahin thehre hue hain
thokren khaaiin to kuchh aaye samajhdari bhi

ab jo kirdaar mujhe karna hai mushkil hai bahut
mast hone ka dikhaava bhi hai sar bhari bhi

लोग सह लेते थे हँस कर कभी बे-ज़ारी भी
अब तो मश्कूक हुई अपनी मिलन-सारी भी

वार कुछ ख़ाली गए मेरे तो फिर आ ही गई
अपने दुश्मन को दुआ देने की हुश्यारी भी

उम्र भर किस ने भला ग़ौर से देखा था मुझे
वक़्त कम हो तो सजा देती है बीमारी भी

किस तरह आए हैं इस पहली मुलाक़ात तलक
और मुकम्मल है जुदा होने की तय्यारी भी

ऊब जाता हूँ ज़ेहानत की नुमाइश से तो फिर
लुत्फ़ देता है ये लहजा मुझे बाज़ारी भी

उम्र बढ़ती है मगर हम वहीं ठहरे हुए हैं
ठोकरें खाईं तो कुछ आए समझदारी भी

अब जो किरदार मुझे करना है मुश्किल है बहुत
मस्त होने का दिखावा भी है सर भारी भी

  - Shariq Kaifi

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari