nigaah neechi hui hai meri | निगाह नीची हुई है मेरी

  - Shariq Kaifi

nigaah neechi hui hai meri
ye tootne ki ghadi hai meri

palat palat kar jo dekhta hoon
koi sada an-suni hai meri

ye kaam dono taraf hua hai
use bhi aadat padi hai meri

tamaam chehron ko ek kar ke
ajeeb soorat bani hai meri

wahin pe le jaayegi ye mitti
jahaan sawaari khadi hai meri

निगाह नीची हुई है मेरी
ये टूटने की घड़ी है मेरी

पलट पलट कर जो देखता हूँ
कोई सदा अन-सुनी है मेरी

ये काम दोनों तरफ़ हुआ है
उसे भी आदत पड़ी है मेरी

तमाम चेहरों को एक कर के
अजीब सूरत बनी है मेरी

वहीं पे ले जाएगी ये मिट्टी
जहाँ सवारी खड़ी है मेरी

  - Shariq Kaifi

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari