khayal sa hai ki tu saamne khada tha abhi | ख़याल सा है कि तू सामने खड़ा था अभी - Shariq Kaifi

khayal sa hai ki tu saamne khada tha abhi
ghunoodgi mein hoon shaayad main sau gaya tha abhi

phir us ki shakl khayaalon mein saaf banne lagi
ye mas’ala to wahi hai jo hal hua tha abhi

suna hai phir koi mujh ko bachaana chahta hai
kisi tarah to mera faisla hua tha abhi

yahin khada tha vo aankhon mein kitne khwaab liye
main us ko us ka naya ghar dikha raha tha abhi

usi ke baare mein socha to kuch na tha ma’aloom
usi ke baare mein itna kaha suna tha abhi

ख़याल सा है कि तू सामने खड़ा था अभी
ग़ुनूदगी में हूँ शायद मैं सौ गया था अभी

फिर उस की शक्ल ख़यालों में साफ़ बनने लगी
ये मस्‍अला तो वही है जो हल हुआ था अभी

सुना है फिर कोई मुझ को बचाना चाहता है
किसी तरह तो मिरा फ़ैसला हुआ था अभी

यहीं खड़ा था वो आँखों में कितने ख़्वाब लिए
मैं उस को उस का नया घर दिखा रहा था अभी

उसी के बारे में सोचा तो कुछ न था मा’लूम
उसी के बारे में इतना कहा सुना था अभी

- Shariq Kaifi
3 Likes

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari