ik din khud ko apne paas bithaaya hum ne | इक दिन ख़ुद को अपने पास बिठाया हम ने - Shariq Kaifi

ik din khud ko apne paas bithaaya hum ne
pehle yaar banaya phir samjhaaya hum ne

khud bhi aakhir-kaar unhi va'don se bahle
jin se saari duniya ko bahlāya hum ne

bheed ne yoonhi rahbar maan liya hai warna
apne alaava kis ko ghar pahunchaaya hum ne

maut ne saari raat hamaari nabz tatoli
aisa marne ka maahol banaya hum ne

ghar se nikle chauk gaye phir park mein baithe
tanhaai ko jagah jagah bikhrāya hum ne

in lamhon mein kis ki shirkat kaisi shirkat
use bula kar apna kaam badhaaya hum ne

duniya ke kacche rangon ka rona roya
phir duniya par apna rang jamaaya hum ne

jab sharik pehchaan gaye manzil ki haqeeqat
phir raaste ko raaste bhar uljhaaya hum ne

इक दिन ख़ुद को अपने पास बिठाया हम ने
पहले यार बनाया फिर समझाया हम ने

ख़ुद भी आख़िर-कार उन्ही वा'दों से बहले
जिन से सारी दुनिया को बहलाया हम ने

भीड़ ने यूँही रहबर मान लिया है वर्ना
अपने अलावा किस को घर पहुँचाया हम ने

मौत ने सारी रात हमारी नब्ज़ टटोली
ऐसा मरने का माहौल बनाया हम ने

घर से निकले चौक गए फिर पार्क में बैठे
तन्हाई को जगह जगह बिखराया हम ने

इन लम्हों में किस कि शिरकत कैसी शिरकत
उसे बुला कर अपना काम बढ़ाया हम ने

दुनिया के कच्चे रंगों का रोना रोया
फिर दुनिया पर अपना रंग जमाया हम ने

जब 'शारिक़' पहचान गए मंज़िल की हक़ीक़त
फिर रस्ते को रस्ते भर उलझाया हम ने

- Shariq Kaifi
21 Likes

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shariq Kaifi

As you were reading Shayari by Shariq Kaifi

Similar Writers

our suggestion based on Shariq Kaifi

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari