bheed mein jab tak rahte hain josheele hain
alag alag ham log bahut maik hain
khwaab ke badle khoon chukaana padta hai
aankhon ke ye khel bade kharcheele hain
beenaai bhi kya kya dhoke deti hai
door se dekho saare dariya neele hain
sehra mein bhi gaau ka dariya saath raha
dekho mere paav abhi tak geelay hain
भीड़ में जब तक रहते हैं जोशीले हैं
अलग अलग हम लोग बहुत शर्मीले हैं
ख़्वाब के बदले ख़ून चुकाना पड़ता है
आँखों के ये खेल बड़े ख़रचीले हैं
बीनाई भी क्या क्या धोके देती है
दूर से देखो सारे दरिया नीले हैं
सहरा में भी गाऊँ का दरिया साथ रहा
देखो मेरे पावँ अभी तक गीले हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari