dilon par naqsh hona chahta hoon
mukammal maut se ghabra raha hoon
sabhi se raaz kah deta hoon apne
na jaane kya chhupaana chahta hoon
tavajjoh ke liye tarsa hoon itna
ki ik ilzaam par khush ho raha hoon
mujhe mehfil ke baahar ka na jaano
main apna jaam khaali kar chuka hoon
ye aadat bhi usi ki di hui hai
ki sab ko muskuraa kar dekhta hoon
alag hoti hai har lamhe ki duniya
puraana ho ke bhi kitna naya hoon
दिलों पर नक़्श होना चाहता हूँ
मुकम्मल मौत से घबरा रहा हूँ
सभी से राज़ कह देता हूँ अपने
न जाने क्या छुपाना चाहता हूँ
तवज्जोह के लिए तरसा हूँ इतना
कि इक इल्ज़ाम पर ख़ुश हो रहा हूँ
मुझे महफ़िल के बाहर का न जानो
मैं अपना जाम ख़ाली कर चुका हूँ
ये आदत भी उसी की दी हुई है
कि सब को मुस्कुरा कर देखता हूँ
अलग होती है हर लम्हे की दुनिया
पुराना हो के भी कितना नया हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Jashn Shayari Shayari