soona aangan neend mein aise chaunk utha hai
sote mein bhi jaise koi sisaki leta hai
ghar mein to is maahol ka main aadi hoon lekin
bazaaron ki veeraani se dam ghutta hai
muddat se main soch raha tha ab samjha hoon
jeb aur aankh ke khaali-pan mein kya rishta hai
itne log mujhe ruksat karne aaye hain
ghar waapas jaana bhi tamasha sa lagta hai
log to apni jaanib se kuchh jod hi lenge
itni adhuri baatein hain vo kyun karta hai
apni kya in raston ke baare mein sochun
un ka safar to meri umr se bhi lamba hai
us ki aankhon se ojhal mat hona sharik
peecha karne waala bahut tanhaa hota hai
सूना आँगन नींद में ऐसे चौंक उठा है
सोते में भी जैसे कोई सिसकी लेता है
घर में तो इस माहौल का मैं आदी हूँ लेकिन
बाज़ारों की वीरानी से दम घुटता है
मुद्दत से मैं सोच रहा था अब समझा हूँ
जेब और आँख के ख़ाली-पन में क्या रिश्ता है
इतने लोग मुझे रुख़्सत करने आए हैं
घर वापस जाना भी तमाशा सा लगता है
लोग तो अपनी जानिब से कुछ जोड़ ही लेंगे
इतनी अधूरी बातें हैं वो क्यूँ करता है
अपनी क्या इन रस्तों के बारे में सोचूँ
उन का सफ़र तो मेरी उम्र से भी लम्बा है
उस की आँखों से ओझल मत होना 'शारिक़'
पीछा करने वाला बहुत तन्हा होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shariq Kaifi
our suggestion based on Shariq Kaifi
As you were reading Aadmi Shayari Shayari