ab to ghabra ke ye kahte hain ki mar jaayenge
mar ke bhi chain na paaya to kidhar jaayenge
tum ne thehraai agar gair ke ghar jaane ki
to iraade yahan kuchh aur thehar jaayenge
khaali ai chaaragaro honge bahut marham-daan
par mere zakham nahin aise ki bhar jaayenge
pahunchege rahguzar-e-yaar talak kyun kar ham
pehle jab tak na do aalam se guzar jaayenge
shola-e-aah ko bijli ki tarah chamkaaun
par mujhe dar hai ki vo dekh ke dar jaayenge
ham nahin vo jo karein khoon ka daava tujh par
balki poochhega khuda bhi to mukar jaayenge
aag dozakh ki bhi ho jaayegi paani paani
jab ye aasi arq-e-sharm se tar jaayenge
nahin paayega nishaan koi hamaara hargiz
ham jahaan se ravish-e-teer-e-nazar jaayenge
saamne chashm-e-guhar-baar ke kah do dariya
chadh ke gar aaye to nazaron se utar jaayenge
laaye jo mast hain turbat pe gulaabi aankhen
aur agar kuchh nahin do phool to dhar jaayenge
rukh-e-raushan se naqaab apne ult dekho tum
mehr-o-maah nazaron se yaaron ki utar jaayenge
ham bhi dekhenge koi ahl-e-nazar hai ki nahin
yaa se jab ham ravish-e-teer-e-nazar jaayenge
zauq jo madarse ke bigde hue hain mulla
un ko may-khaane mein le aao sanwar jaayenge
अब तो घबरा के ये कहते हैं कि मर जाएँगे
मर के भी चैन न पाया तो किधर जाएँगे
तुम ने ठहराई अगर ग़ैर के घर जाने की
तो इरादे यहाँ कुछ और ठहर जाएँगे
ख़ाली ऐ चारागरो होंगे बहुत मरहम-दाँ
पर मिरे ज़ख़्म नहीं ऐसे कि भर जाएँगे
पहुँचेंगे रहगुज़र-ए-यार तलक क्यूँ कर हम
पहले जब तक न दो आलम से गुज़र जाएँगे
शोला-ए-आह को बिजली की तरह चमकाऊँ
पर मुझे डर है कि वो देख के डर जाएँगे
हम नहीं वो जो करें ख़ून का दावा तुझ पर
बल्कि पूछेगा ख़ुदा भी तो मुकर जाएँगे
आग दोज़ख़ की भी हो जाएगी पानी पानी
जब ये आसी अरक़-ए-शर्म से तर जाएँगे
नहीं पाएगा निशाँ कोई हमारा हरगिज़
हम जहाँ से रविश-ए-तीर-ए-नज़र जाएँगे
सामने चश्म-ए-गुहर-बार के कह दो दरिया
चढ़ के गर आए तो नज़रों से उतर जाएँगे
लाए जो मस्त हैं तुर्बत पे गुलाबी आँखें
और अगर कुछ नहीं दो फूल तो धर जाएँगे
रुख़-ए-रौशन से नक़ाब अपने उलट देखो तुम
मेहर-ओ-माह नज़रों से यारों की उतर जाएँगे
हम भी देखेंगे कोई अहल-ए-नज़र है कि नहीं
याँ से जब हम रविश-ए-तीर-ए-नज़र जाएँगे
'ज़ौक़' जो मदरसे के बिगड़े हुए हैं मुल्ला
उन को मय-ख़ाने में ले आओ सँवर जाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sheikh Ibrahim Zauq
our suggestion based on Sheikh Ibrahim Zauq
As you were reading Nature Shayari Shayari