kyun nahin aaye ye mere sar mein
zakhm bharte nahin december mein
gaur se dekh lootne waale
aur kuchh to nahin bacha ghar mein
waqt-e-aakhir laga diya maine
zor jitna bhi tha mere par mein
ik to duniya khilaaf hai mere
aur tu bhi nahin muqaddar mein
kya pata kab idhar khizaan aayi
main to khoya raha gul-e-tar mein
jism baahar pada raha aur main
doob kar mar gaya samundar mein
taish mein aa gaye miyaan sohil
aur phir kuchh nahin bacha ghar mein
क्यूँ नहीं आए ये मेरे सर में
ज़ख़्म भरते नहीं दिसंबर में
ग़ौर से देख लूटने वाले
और कुछ तो नहीं बचा घर में
वक़्त-ए-आख़िर लगा दिया मैंने
ज़ोर जितना भी था मिरे पर में
इक तो दुनिया ख़िलाफ़ है मेरे
और तू भी नहीं मुक़द्दर में
क्या पता कब इधर ख़िज़ाँ आई
मैं तो खोया रहा गुल-ए-तर में
जिस्म बाहर पड़ा रहा और मैं
डूब कर मर गया समुंदर में
तैश में आ गए मियाँ 'सोहिल'
और फिर कुछ नहीं बचा घर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Kashti Shayari Shayari