patthar ke khuda patthar ke sanam patthar ke hi insaan paaye hain | पत्थर के ख़ुदा पत्थर के सनम पत्थर के ही इंसाँ पाए हैं - Sudarshan Fakir

patthar ke khuda patthar ke sanam patthar ke hi insaan paaye hain
tum shahr-e-mohabbat kahte ho ham jaan bacha kar aaye hain

but-khaana samjhte ho jisko poocho na wahan kya haalat hai
ham log wahin se laute hain bas shukr karo laut aaye hain

ham soch rahe hain muddat se ab umr guzaaren bhi to kahaan
sehra mein khushi ke phool nahin shehron mein ghamon ke saaye hain

hothon pe tabassum halka sa aankhon mein nami si hai faakir
ham ahl-e-mohabbat par akshar aise bhi zamaane aaye hain

पत्थर के ख़ुदा पत्थर के सनम पत्थर के ही इंसाँ पाए हैं
तुम शहर-ए-मोहब्बत कहते हो हम जान बचा कर आए हैं

बुत-ख़ाना समझते हो जिसको पूछो न वहाँ क्या हालत है
हम लोग वहीं से लौटे हैं बस शुक्र करो लौट आए हैं

हम सोच रहे हैं मुद्दत से अब उम्र गुज़ारें भी तो कहाँ
सहरा में ख़ुशी के फूल नहीं शहरों में ग़मों के साए हैं

होठों पे तबस्सुम हल्का सा आँखों में नमी सी है 'फ़ाकिर'
हम अहल-ए-मोहब्बत पर अक्सर ऐसे भी ज़माने आए हैं

- Sudarshan Fakir
4 Likes

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sudarshan Fakir

As you were reading Shayari by Sudarshan Fakir

Similar Writers

our suggestion based on Sudarshan Fakir

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari