kuchh to duniya ki inaayat ne dil tod diya
aur kuchh talkhi-e-haalat ne dil tod diya
ham to samjhe the ke barsaat mein barsegi sharaab
aayi barsaat to barsaat ne dil tod diya
dil to rota rahe or aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivaayat ne dil tod diya
vo mere hain mujhe mil jaayenge aa jaayenge
aise bekar khayaalaat ne dil tod diya
aap ko pyaar hai mujh se ki nahin hai mujh se
jaane kyun aise savaalaat ne dil tod diya
कुछ तो दुनिया की इनायात ने दिल तोड़ दिया
और कुछ तल्ख़ी-ए-हालात ने दिल तोड़ दिया
हम तो समझे थे के बरसात में बरसेगी शराब
आई बरसात तो बरसात ने दिल तोड़ दिया
दिल तो रोता रहे और आँख से आँसू न बहे
इश्क़ की ऐसी रिवायात ने दिल तोड़ दिया
वो मिरे हैं मुझे मिल जाएँगे आ जाएँगे
ऐसे बेकार ख़यालात ने दिल तोड़ दिया
आप को प्यार है मुझ से कि नहीं है मुझ से
जाने क्यूँ ऐसे सवालात ने दिल तोड़ दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sudarshan Fakir
our suggestion based on Sudarshan Fakir
As you were reading Aansoo Shayari Shayari