falsafe ishq mein pesh aaye sawaalon ki tarah
ham pareshaan hi rahe apne khayaalon ki tarah
sheeshaagar baithe rahe zikr-e-masiha le kar
aur ham toot gaye kaanch ke pyaalon ki tarah
jab bhi anjaam-e-mohabbat ne pukaara khud ko
waqt ne pesh kiya ham ko misaalon ki tarah
zikr jab hoga mohabbat mein tabaahi ka kahi
yaad ham aayenge duniya ko hawaalon ki tarah
फ़लसफ़े इश्क़ में पेश आए सवालों की तरह
हम परेशाँ ही रहे अपने ख़यालों की तरह
शीशागर बैठे रहे ज़िक्र-ए-मसीहा ले कर
और हम टूट गए काँच के प्यालों की तरह
जब भी अंजाम-ए-मोहब्बत ने पुकारा ख़ुद को
वक़्त ने पेश किया हम को मिसालों की तरह
ज़िक्र जब होगा मोहब्बत में तबाही का कहीं
याद हम आएँगे दुनिया को हवालों की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sudarshan Fakir
our suggestion based on Sudarshan Fakir
As you were reading Promise Shayari Shayari