gham badhe aate hain qaateel ki nigaahon ki tarah | ग़म बढे़ आते हैं क़ातिल की निगाहों की तरह - Sudarshan Fakir

gham badhe aate hain qaateel ki nigaahon ki tarah
tum chhupa lo mujhe ai dost gunaahon ki tarah

apni nazaron mein gunaahgaar na hote kyun kar
dil hi dushman hain mukhalif ke gawaahon. ki tarah

har taraf zeest ki raahon mein kaddi dhoop hai dost
bas teri yaad ke saaye hain panahon ki tarah

jinke khaatir kabhi ilzaam uthaaye faakir
vo bhi pesh aaye hain insaaf ke shahon ki tarah

ग़म बढे़ आते हैं क़ातिल की निगाहों की तरह
तुम छिपा लो मुझे ऐ दोस्त, गुनाहों की तरह

अपनी नज़रों में गुनाहगार न होते, क्यों कर
दिल ही दुश्मन हैं मुख़ालिफ़ के गवाहों की तरह

हर तरफ़ ज़ीस्त की राहों में कड़ी धूप है दोस्त
बस तेरी याद के साये हैं पनाहों की तरह

जिनके ख़ातिर कभी इल्ज़ाम उठाये, "फ़ाकिर"
वो भी पेश आये हैं इंसाफ़ के शाहों की तरह

- Sudarshan Fakir
5 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sudarshan Fakir

As you were reading Shayari by Sudarshan Fakir

Similar Writers

our suggestion based on Sudarshan Fakir

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari