chamchamaati car mein uski bidaai ho gayi
par yaqeen aata nahin hai bewafaai ho gayi
park mein sab dost mere raah dekhen hain meri
ab to jaane do mujhe ab to padhaai ho gayi
aadmi ko aur bacchon ko pata chalta nahin
roti sabzi kab bani aur kab safai ho gayi
aao baitho ab suno taarif meri doston
jisne chhoda hai mujhe uski buraai ho gayi
aakhri choti se girkar ham mare hain ishq ki
ham samjhte the himalaya ki chadhaai ho gayi
चमचमाती कार में उसकी बिदाई हो गयी
पर यक़ीन आता नहीं है बेवफ़ाई हो गयी
पार्क में सब दोस्त मेरे राह देखें हैं मेरी
अब तो जाने दो मुझे अब तो पढ़ाई हो गयी
आदमी को और बच्चों को पता चलता नहीं
रोटी सब्ज़ी कब बनी और कब सफ़ाई हो गयी
आओ बैठो अब सुनो तारीफ़ मेरी दोस्तों
जिसने छोड़ा है मुझे उसकी बुराई हो गयी
आख़री चोटी से गिरकर हम मरे हैं इश्क़ की
हम समझते थे हिमालय की चढ़ाई हो गयी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tanoj Dadhich
our suggestion based on Tanoj Dadhich
As you were reading Aadmi Shayari Shayari