sabhi kahte bahut achha agar tum shayari karti
zamaana kya khuda sunta agar tum shayari karti
tumhaari baat karne ki ada ne hi kiya paagal
na jaane haal kya hota agar tum shayari karti
munavvar aur raahat phir tumhein bhi to pasand aate
sunaati jaun ka matla agar tum shayari karti
niyam kaanoon bhi tumko bahut si chhoot dete phir
nahin lagta koi nuqta agar tum shayari karti
सभी कहते बहुत अच्छा अगर तुम शायरी करती
ज़माना क्या ख़ुदा सुनता अगर तुम शायरी करती
तुम्हारी बात करने की अदा ने ही किया पागल
न जाने हाल क्या होता अगर तुम शायरी करती
मुनव्वर और राहत फिर तुम्हें भी तो पसंद आते
सुनाती जौन का मतला अगर तुम शायरी करती
नियम कानून भी तुमको बहुत सी छूट देते फिर
नहीं लगता कोई नुक़्ता अगर तुम शायरी करती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tanoj Dadhich
our suggestion based on Tanoj Dadhich
As you were reading Jalwa Shayari Shayari