apnon se mujhe hargiz hi door nahin hona | अपनों से मुझे हरगिज़ ही दूर नहीं होना

  - Sahil Verma

apnon se mujhe hargiz hi door nahin hona
daulat ke nashe mein mujh ko choor nahin hona

mar jaaye jo koi mujhse milne ko jeevan mein
mujhko kabhi bhi itna mashhoor nahin hona

tum kaam karo utna paryaapt ho vo jitna
tum vyast kisi mein bhi bharpoor nahin hona

ye jaan le logon se zinda hai teri hasti
sar chadh ke kabhi unke maghroor nahin hona

अपनों से मुझे हरगिज़ ही दूर नहीं होना
दौलत के नशे में मुझ को चूर नहीं होना

मर जाए जो कोई मुझसे मिलने को, जीवन में
मुझको कभी भी इतना मशहूर नहीं होना

तुम काम करो उतना पर्याप्त हो वो जितना
तुम व्यस्त किसी में भी भरपूर नहीं होना

ये जान ले, लोगों से ज़िंदा है तेरी हस्ती
सर चढ़ के कभी उनके मग़रूर नहीं होना

  - Sahil Verma

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahil Verma

As you were reading Shayari by Sahil Verma

Similar Writers

our suggestion based on Sahil Verma

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari