hamein fir ishq mein beshak khasaara ho | हमें फ़िर इश्क़ में बेशक ख़सारा हो

  - ABhishek Parashar

hamein fir ishq mein beshak khasaara ho
magar ho ishq to us se dobaara ho

khushi gham aur fir us ki mohabbat bhi
ki sab kuchh bas hamaara ho hamaara ho

tamannaa ab yahi hai dost ke fir se
mohabbat ka mohabbat se ishaara ho

ki itni khoobsurat aur pyaari hai
ki jaise us ko jannat se utaara ho

bichhadte waqt ik tasveer to li thi
magar tasveer se kaise guzaara ho

हमें फ़िर इश्क़ में बेशक ख़सारा हो
मगर हो इश्क़ तो उस से दुबारा हो

ख़ुशी ग़म और फ़िर उस की मोहब्बत भी
कि सब कुछ बस हमारा हो, हमारा हो

तमन्ना अब यही है दोस्त के फ़िर से
मोहब्बत का मोहब्बत से इशारा हो

कि इतनी ख़ूबसूरत और प्यारी है
कि जैसे उस को जन्नत से उतारा हो

बिछड़ते वक़्त इक तस्वीर तो ली थी
मगर तस्वीर से कैसे गुज़ारा हो

  - ABhishek Parashar

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ABhishek Parashar

As you were reading Shayari by ABhishek Parashar

Similar Writers

our suggestion based on ABhishek Parashar

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari