zakham par marham laga kar dekhte hain
ham use phir se manaa kar dekhte hain
mannaton se kuchh nahin ho saka abhishek
chal use samjha-bujha kar dekhte hain
hai yaqeen dhokha hi degi vo mujhe par
ishq hai so aazma kar dekhte hain
chand ghazalon ke sahaare se use ham
aaj haal-e-dil suna kar dekhte hain
vo hamein jab-jab akela chhodti hai
dard hota hai bata kar dekhte hain
poochhti hai vo mujhe kya de sakoge
dil use apna dikha kar dekhte hain
gar mohabbat hai tumhein to बोलो,हम phir
chaand taare bhi chura kar dekhte hain
ज़ख़्म पर मरहम लगा कर देखते हैं
हम उसे फिर से मना कर देखते हैं
मन्नतों से कुछ नहीं हो सकता 'अभिषेक'
चल उसे समझा-बुझा कर देखते हैं
है यक़ीं धोखा ही देगी वो मुझे पर
इश्क़ है सो आज़मा कर देखते हैं
चंद ग़ज़लों के सहारे से उसे हम
आज हाल-ए-दिल सुना कर देखते हैं
वो हमें जब-जब अकेला छोड़ती है
दर्द होता है बता कर देखते हैं
पूछती है वो मुझे क्या दे सकोगे
दिल उसे अपना दिखा कर देखते हैं
गर मोहब्बत है तुम्हें तो बोलो,हम फिर
चाँद तारे भी चुरा कर देखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading Bewafai Shayari Shayari