ho gaya hoon main bhi shaamil udaas logon mein | हो गया हूँ मैं भी शामिल उदास लोगों में - Aakash Giri

ho gaya hoon main bhi shaamil udaas logon mein
lagne lag gaya hai ab dil udaas logon mein

ye jamaat to hai bas aql-mand logon ki
hote hi nahin hai jaahil udaas logon mein

baat hi nahin karte sab khamosh rahte hain
din guzaarna hai mushkil udaas logon mein

intizaar mein baithe log sab tumhaare hai
phool ki tarah ja kar khil udaas logon mein

kaise kah diya hai cigarette ko bura tumne
is nashe ke hai sab kail udaas logon mein

bhar gai hai poori duniya udaas logon se
ek main hi hoon bas khush dil udaas logon mein

qatl khud ka karte hain vo bhi apne haathon se
sab bhare pade hai qaateel udaas logon mein

हो गया हूँ मैं भी शामिल उदास लोगों में
लगने लग गया है अब दिल उदास लोगों में

ये जमात तो है बस अक़्ल-मंद लोगों की
होते ही नहीं है जाहिल उदास लोगों में

बात ही नहीं करते सब ख़मोश रहते हैं
दिन गुज़ारना है मुश्किल उदास लोगों में

इंतिज़ार में बैठे लोग सब तुम्हारे है
फूल की तरह जा कर खिल उदास लोगों में

कैसे कह दिया है सिगरेट को बुरा तुमने
इस नशे के है सब काइल उदास लोगों में

भर गई है पूरी दुनिया उदास लोगों से
एक मैं ही हूँ बस खुश दिल उदास लोगों में

क़त्ल खुद का करते हैं वो भी अपने हाथों से
सब भरे पड़े है क़ातिल उदास लोगों में

- Aakash Giri
7 Likes

Qatil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aakash Giri

As you were reading Shayari by Aakash Giri

Similar Writers

our suggestion based on Aakash Giri

Similar Moods

As you were reading Qatil Shayari Shayari