palak band kar aasmaan dekhta hoon | पलक बंद कर आसमाँ देखता हूँ - Umrez Ali Haider

palak band kar aasmaan dekhta hoon
khule aankh phir main jahaan dekhta hoon

yahan phir wahan phir jahaan dekhta hoon
koi raaz raaz-e-nihaan dekhta hoon

jahaan ko jo main aasmaan dekhta hoon
zameen ko so main aashiyaan dekhta hoon

jahaan dekhta hoon nihaan dekhta hoon
ye main kyun yahan phir wahan dekhta hoon

naya rang-o-boo main ayaan dekhta hoon
lab-o-rukh hai badla jahaan dekhta hoon

main bhi jalne lagta hoon sholon ke jaise
kahi jab nikalta dhuaan dekhta hoon

jahaan tak ufaq-be-karan dekhta hoon
wahan tak main apna makaan dekhta hoon

idhar phir udhar phir jahaan dekhta hoon
pas-e-ishq main phir ziyaan dekhta hoon

jahaan mein ajab dil-sitaan dekhta hoon
watan jab ye hindostaan dekhta hoon

jise sar se pa tak nihaan dekhta hoon
shab-e-wasl ho phir ayaan dekhta hoon

hai lagta yahan hai na peer-e-mugaan ab
main har soo jo teer-o-kamaan dekhta hoon

ho mushkil ghadi paasbaan dekhta hoon
ye har dam kise meherbaan dekhta hoon

usi ko jahaan ka tahaan dekhta hoon
so haider kisi ko kahaan dekhta hoon

पलक बंद कर आसमाँ देखता हूँ
खुले आँख फिर मैं जहाँ देखता हूँ

यहाँ फिर वहाँ फिर जहाँ देखता हूँ
कोई राज़ राज़-ए-निहाँ देखता हूँ

जहाँ को जो मैं आसमाँ देखता हूँ
ज़मीं को सो मैं आशियाँ देखता हूँ

जहाँ देखता हूँ निहाँ देखता हूँ
ये मैं क्यों यहाँ फिर वहाँ देखता हूँ

नया रंग–ओ–बू मैं अयाँ देखता हूँ
लब-ओ-रुख़ है बदला जहाँ देखता हूँ

मैं भी जलने लगता हूँ शोलों के जैसे
कहीं जब निकलता धुआँ देखता हूँ

जहाँ तक उफ़क़-बे-कराँ देखता हूँ
वहाँ तक मैं अपना मकाँ देखता हूँ

इधर फिर उधर फिर जहाँ देखता हूँ
पस-ए-इश्क़ मैं फिर ज़ियाँ देखता हूँ

जहाँ में अजब दिल-सिताँ देखता हूँ
वतन जब ये हिन्दोस्ताँ देखता हूँ

जिसे सर से पा तक निहाँ देखता हूँ
शब-ए-वस्ल हो फिर अयाँ देखता हूँ

है लगता, यहाँ है न पीर-ए-मुग़ाँ अब
मैं हर सू जो तीर-ओ-कमाँ देखता हूँ

हो मुश्किल घड़ी पासबाँ देखता हूँ
ये हर दम किसे मेहरबाँ देखता हूँ

उसी को जहाँ का तहाँ देखता हूँ
सो "हैदर" किसी को कहाँ देखता हूँ

- Umrez Ali Haider
1 Like

Hindustan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Umrez Ali Haider

As you were reading Shayari by Umrez Ali Haider

Similar Writers

our suggestion based on Umrez Ali Haider

Similar Moods

As you were reading Hindustan Shayari Shayari