jab asar ye raha hi nahin zahar mein
ek din doob ke mar gaye nahar mein
darta hoon vo kahin saamne aayi to
usne shaadi kii hai mere hi shehar mein
jisko main bhoolna chahta hoon magar
yaad aata hai vo mujhko har pahar mein
usse saada bhi to likkha jaata nahin
kaise vo ladki likh paayegi bahar mein
uske zulm-o-sitam se to bach nikle the
doob ke mar gaye yaadon kii lehar mein
जब असर ये रहा ही नहीं ज़हर में
एक दिन डूब के मर गए नहर में
डरता हूँ वो कहीं सामने आई तो
उसने शादी की है मेरे ही शहर में
जिसको मैं भूलना चाहता हूँ मगर
याद आता है वो मुझको हर पहर में
उससे सादा भी तो लिक्खा जाता नहीं
कैसे वो लड़की लिख पाएगी बहर में
उसके ज़ुल्म-ओ-सितम से तो बच निकले थे
डूब के मर गए यादों की लहर में
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading undefined Shayari