aam mauqon pe na aankhon mein ubhaare aansu
hijr jis se bhi ho par tujh pe hi vaare aansu
zabt ka hai jo hunar main ne diya hai tum ko
meri aankhon se nikalte hain tumhaare aansu
kyun na ab hijr ko main ibtida-e vasl kahoon
aankh se main ne qaba jaise utaare aansu
doosre ishq ki soorat nahin dekhi jaati
dhundle kar dete hain aankhon ke nazaare aansu
aankh ki jheel sukhaati hai tiri yaad ki dhoop
marne lagte hain wahan pyaas ke maare aansu
bin tere aankhon ko sehra na bana baithoon main
rote rote na ganwa doon kahi saare aansu
mujh farebi ko jo tu ne ye mohabbat di hai
aankh se girte hain ab sharm ke maare aansu
raat hoti hai to uthati hain ziyaada lahren
aur aa jaate hain palkon ke kinaare aansu
आम मौक़ों पे न आँखों में उभारे आँसू
हिज्र जिस से भी हो पर तुझ पे ही वारे आँसू
ज़ब्त का है जो हुनर मैं ने दिया है तुम को
मेरी आँखों से निकलते हैं तुम्हारे आँसू
क्यों न अब हिज्र को मैं इब्तिदा-ए- वस्ल कहूँ
आँख से मैं ने क़बा जैसे उतारे आँसू
दूसरे इश्क़ की सूरत नहीं देखी जाती
धुंधले कर देते हैं आँखों के नज़ारे आँसू
आँख की झील सुखाती है तिरी याद की धूप
मरने लगते हैं वहाँ प्यास के मारे आँसू
बिन तेरे आँखों को सहरा न बना बैठूँ मैं
रोते रोते न गँवा दूँ कहीं सारे आँसू
मुझ फ़रेबी को जो तू ने ये मोहब्बत दी है
आँख से गिरते हैं अब शर्म के मारे आँसू
रात होती है तो उठती हैं ज़ियादा लहरें
और आ जाते हैं पलकों के किनारे आँसू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikram Sharma
our suggestion based on Vikram Sharma
As you were reading Ulfat Shayari Shayari