nigaahon ke taqaze chain se marne nahin dete | निगाहों के तक़ाज़े चैन से मरने नहीं देते - Waseem Barelvi

nigaahon ke taqaze chain se marne nahin dete
yahan manzar hi aise hain ki dil bharne nahin dete

ye log auron ke dukh jeene nikal aaye hain sadkon par
agar apna hi gham hota to yun dharne nahin dete

yahi qatre jo dam apna dikhaane par utar aate
samundar aisi man-maani tujhe karne nahin dete

qalam main to utha ke jaane kab ka rakh chuka hota
magar tum ho ke qissa mukhtasar karne nahin dete

humeen un se umeedein aasmaan choone ki karte hain
humeen bacchon ko apne faisley karne nahin dete

निगाहों के तक़ाज़े चैन से मरने नहीं देते
यहाँ मंज़र ही ऐसे हैं कि दिल भरने नहीं देते

ये लोग औरों के दुख जीने निकल आए हैं सड़कों पर
अगर अपना ही ग़म होता तो यूँ धरने नहीं देते

यही क़तरे जो दम अपना दिखाने पर उतर आते
समुंदर ऐसी मन-मानी तुझे करने नहीं देते

क़लम मैं तो उठा के जाने कब का रख चुका होता
मगर तुम हो के क़िस्सा मुख़्तसर करने नहीं देते

हमीं उन से उमीदें आसमाँ छूने की करते हैं
हमीं बच्चों को अपने फ़ैसले करने नहीं देते

- Waseem Barelvi
3 Likes

Sukoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Sukoon Shayari Shayari