ahl-e-duniya ke liye dars banaya gaya main
ishq kar baitha tha sooli pe chhdaaya gaya main
kahke deewaana mujhe logon ne maare patthar
ishq mein qais tere jaisa sataaya gaya main
ek bhi martaba khidki se nahin jhaanka vo
muddaton koocha-e-mahboob mein aaya gaya main
paanv mein chaale hain aur chhaalon mein kaante paivast
is qadar dasht-e-aziyyat mein firayaa gaya main
zindagi thi to sabhi ne nazar andaaz kiya
maut ke ba'ad kaleje se lagaaya gaya main
ye mera khwaab na ho jaaye haqeeqat dar hai
thokren khaata hua dasht mein paaya gaya main
roothta nain tha magar rootha to aisa rootha
minnaten ki gaeein lekin na manaaya gaya main
maine aana to na tha shahr-e-mohabbat mein amaan
kya karoon yaar agar kheench ke laaya gaya main
अहल-ए-दुनिया के लिए दर्स बनाया गया मैं
इश्क़ कर बैठा था, सूली पे चढ़ाया गया मैं
कहके दीवाना मुझे लोगों ने मारे पत्थर
इश्क़ में क़ैस तेरे जैसा सताया गया मैं
एक भी मर्तबा खिड़की से नहीं झाँका वो
मुद्दतों कूचा-ए-महबूब में आया गया मैं
पाँव में छाले हैं और छालों में काँटे पैवस्त
इस क़दर दश्त-ए-अज़िय्यत में फिराया गया मैं
ज़िन्दगी थी तो सभी ने नज़र अंदाज़ किया
मौत के बा'द कलेजे से लगाया गया मैं
ये मेरा ख़्वाब न हो जाए हक़ीक़त, डर है
ठोकरें खाता हुआ दश्त में पाया गया मैं
रूठता नइँ था मगर रूठा तो ऐसा रूठा
मिन्नतें की गईं लेकिन न मनाया गया मैं
मैंने आना तो न था शहर-ए-मोहब्बत में 'अमान'
क्या करूँ यार अगर खींच के लाया गया मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan Haider
our suggestion based on Amaan Haider
As you were reading Khudkushi Shayari Shayari