mohabbat ke safar mein koii bhi rasta nahin deta | मोहब्बत के सफ़र में कोई भी रस्ता नहीं देता

  - Zahid Fakhri

mohabbat ke safar mein koii bhi rasta nahin deta
zameen waqif nahin banti falak saaya nahin deta

khushi aur dukh ke mausam sab ke apne apne hote hain
kisi ko apne hisse ka koii lamha nahin deta

na jaane kaun hote hain jo baazu thaam lete hain
museebat mein sahaara koii bhi apna nahin deta

udaasi jis ke dil mein ho usi kii neend udti hai
kisi ko apni aankhon se koii sapna nahin deta

uthaana khud hi padta hai thaka toota badan fakhri
ki jab tak saans chalti hai koii kandha nahin deta

मोहब्बत के सफ़र में कोई भी रस्ता नहीं देता
ज़मीं वाक़िफ़ नहीं बनती फ़लक साया नहीं देता

ख़ुशी और दुख के मौसम सब के अपने अपने होते हैं
किसी को अपने हिस्से का कोई लम्हा नहीं देता

न जाने कौन होते हैं जो बाज़ू थाम लेते हैं
मुसीबत में सहारा कोई भी अपना नहीं देता

उदासी जिस के दिल में हो उसी की नींद उड़ती है
किसी को अपनी आँखों से कोई सपना नहीं देता

उठाना ख़ुद ही पड़ता है थका टूटा बदन 'फ़ख़री'
कि जब तक साँस चलती है कोई कंधा नहीं देता

  - Zahid Fakhri

More by Zahid Fakhri

As you were reading Shayari by Zahid Fakhri

Similar Writers

our suggestion based on Zahid Fakhri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari