dekha ke gul mein titliyan uljhi hui
baalon me jaise ungaliyaan uljhi hui
aise khuda ne ishq ko suljhaa diya
ladke nahin hai ladkiyaan uljhi hui
qaaidi nireekshan mein sipaahi tha phansa
do mein dikhi vo bediyaan uljhi hui
jo bhi thaka vo lakdiyon mein so gaya
khush hai jise hai lakdiyaan uljhi hui
sooni kalaaee ghar chalaati thi kabhi
ab haath mein hai choodiyaan uljhi hui
देखा के गुल में तितलियाँ उलझी हुई,
बालों मे जैसे उँगलियाँ उलझी हुई
ऐसे ख़ुदा ने इश्क़ को सुलझा दिया,
लड़के नहीं है लड़कियाँ उलझी हुई
क़ैदी निरीक्षण में सिपाही था फँसा,
दो में दिखी वो बेड़ियाँ उलझी हुई
जो भी थका वो लकड़ियों में सो गया,
ख़ुश है जिसे है लकड़ियाँ उलझी हुई
सूनी कलाई घर चलाती थी कभी,
अब हाथ में है चूड़ियाँ उलझी हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by 100rav
our suggestion based on 100rav
As you were reading Shama Shayari Shayari