purane dinon kii kahaani likhi thi
tiri nazm apni bayaani likhi thi
ye may-khaane mein baith afsos ab kyun
tire hisse bhi to jawaani likhi thi
kitaab-e-muqaddar mein raanjha deewana
magar heer behad sayaani likhi thi
bharosa bahut hai ye kahte the mujh se
nazar mein magar bad-gumaani likhi thi
amaan aur bhi to the duniya mein phir kyun
mere hisse hi paasbaani likhi thi
पुराने दिनों की कहानी लिखी थी
तिरी नज़्म अपनी बयानी लिखी थी
ये मय-ख़ाने में बैठ अफ़सोस अब क्यूँ
तिरे हिस्से भी तो जवानी लिखी थी
किताब-ए-मुक़द्दर में राँझा दिवाना
मगर हीर बेहद सयानी लिखी थी
भरोसा बहुत है ये कहते थे मुझ से
नज़र में मगर बद-गु़मानी लिखी थी
‘अमान’ और भी तो थे दुनिया में फिर क्यूँ
मिरे हिस्से ही पासबानी लिखी थी
As you were reading Shayari by Amaan Pathan
our suggestion based on Amaan Pathan
As you were reading undefined Shayari