shab bhar qafas mein ho to matlab amaan ho tum | शब भर क़फ़स में हो तो मतलब अमान हो तुम - Amaan Pathan

shab bhar qafas mein ho to matlab amaan ho tum
haakim nahin ho dil ke bas paasbaan ho tum

jab tez hon hawaayen tum khud ko thaam lena
jo ret par tika hai aisa makaan ho tum

kyun hijr ke sabhi ko qisse suna rahe ho
gham bechte ho sab ko gham kii dukaan ho tum

sar se tapkane do tum ab khoon kii ye boonden
zulmon se dar gaye to kaise pathaan ho tum

amn-o-amaan mein the tum to amaan phir kyun
sab chhin gaya tumhin se kyun raakh-daan ho tum

शब भर क़फ़स में हो तो मतलब अमान हो तुम
हाकिम नहीं हो दिल के बस पासबान हो तुम

जब तेज़ हों हवायें तुम ख़ुद को थाम लेना
जो रेत पर टिका है ऐसा मकान हो तुम

क्यूँ हिज्र के सभी को क़िस्से सुना रहे हो
ग़म बेचते हो सब को ग़म की दुकान हो तुम

सर से टपकने दो तुम अब ख़ून की ये बूँदें
ज़ुल्मों से डर गये तो कैसे पठान हो तुम

अम्न-ओ-अमान में थे तुम तो अमान फिर क्यूँ
सब छिन गया तुम्हीं से क्यूँ राख-दान हो तुम

- Amaan Pathan
5 Likes

More by Amaan Pathan

As you were reading Shayari by Amaan Pathan

Similar Writers

our suggestion based on Amaan Pathan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari