sabab bane jo meri khushi ka to main usi ka
ya koii paikar ho saadgi ka to main usi ka
sharaab-o-saaki ye jaam-o-meena nahin zaroori
jo aankh de lutf may-kashi ka to main usi ka
na hai takhayyul na hai taghazzul mere sukhun mein
ho fikr-o-fan jismein shaayari ka to main usi ka
ana ke ghar se nikal ke baahar meri taraf jo
badhaayega haath dosti ka to main usi ka
yahan to sab ke hain ham-piyaala wa hum-nawaala
abhi talak jo nahin kisi ka to main usi ka
bada hai qad aap ka main adnaa muaaf kijeye
milega koii baraabari ka to main usi ka
udaasiyon ke hain ghup andhere anees dil mein
dareecha khole jo raushni ka to main usi ka
सबब बने जो मेरी ख़ुशी का तो मैं उसी का
या कोई पैकर हो सादगी का तो मैं उसी का
शराब-ओ-साक़ी ये जाम-ओ-मीना नहीं ज़रूरी
जो आँख दे लुत्फ़ मय-कशी का तो मैं उसी का
न है तख़य्युल न है तग़ज़्ज़ुल मेरे सुख़न में
हो फ़िक्र-ओ-फ़न जिसमें शाइरी का तो मैं उसी का
अना के घर से निकल के बाहर मेरी तरफ़ जो
बढ़ाएगा हाथ दोस्ती का तो मैं उसी का
यहाँ तो सब के हैं हम-पियाला व हम-निवाला
अभी तलक जो नहीं किसी का तो मैं उसी का
बड़ा है क़द आप का मैं अदना मुआफ़ कीजे
मिलेगा कोई बराबरी का तो मैं उसी का
उदासियों के हैं घुप अँधेरे अनीस दिल में
दरीचा खोले जो रौशनी का तो मैं उसी का
As you were reading Shayari by Anis shah anis
our suggestion based on Anis shah anis
As you were reading undefined Shayari